Sunday, November 10, 2013

अश्क

अश्क बड़े बेईमान होते है
ख़ुशी में हर वक़्त मेरे साथ ,
गम में बएहने लगते है।

Thursday, November 7, 2013

kon hu main ?

 kitna bebas hu aaj main..
aaj apne se mulakat nahi hoti..
ittna intejaar karwaya sunne ko khudko..
ki aab sunna chahu bhi toh , khudki aawaj nahi aati..

dil hasta tha, main nahi hasa uske saath, wyast tha 
dil rota tha ,main nahi roya uske saath, main wayst tha..
aab rone ,hasne ki aawaje band hai, dil zinda toh hai na?
kisse puchu, wo kuch dino pehele mara toh nahi tha….?

uske aane ki aahat se dil ki dharkan tej hoi thi..
uske jaane se dil dhartka hai bhi ki nahi maloom nahi..
par..
aab kisi ke zanzhorne se bhi halchal nahi hoti..

mera wajood banane chala tha
main khud kho gaya..
aab shabdo me khudko ko khojta hu
suna hai, ye amar hote hai… 

aasmano me aapna naam likhna chahta tha..
udta gaya, udta gaya.. 
aasman toh ab bhi dur tha, aur dharti tak lautna naamumkin..
mai , main bichme hi kahi akela reh gaya..

kitna bebas hu aaj main..
kon hu kon hu, ye puch raha hu.. 
log batate hai, main kon tha, main kon ban sakta hu..
main kon hu ye koi nahi jaanta ..

pag ke nisha.....

pag ke nisha.....

pag dandio pe kuch pag ke nishan kaise reh gaye the baaki.
ye wo kache raste hai, 
jaha se gujarta koi khas nahi
koi purani yaad bhatakti hai yaha..
bachpan ke din bite the yaha..---

kheto me se jaate ye pagdandio pe kuch pago ke nishan dikhai dete hai aaj bhi..
mai bhul gaya in rasto ko..
raste nahi bhule,,
aapni meetti me , aapni aagosh me bhar rakha hai mujhe..

ubad khabad chote mote, tede mede, in pathrile rasto pe..

mera bachpan bita tha..
ek din yahi se gujarkar mai shehar gaya tha..
mai nahi louta.. 

mai bhul gaya..
phir kyu mere nishan samale hai..
tum bhi bhul jaao..
zehan se aapne meri yaade mita daalo..
kuch naye pag chalke jaayege yaha se..
tum kya unke bhi nishan yuhi samaloge…..???

sabko kaise sama lete ho.. jaane kitno ke, par itne nishan kaise basa lete ho..
duniya kitni bhi dekh li ho maine.. meri pehchan mujhe yahi mili hai…
mujhe jannae waala koi nahi hai..
mere nishan bas yahi mile hai….

pagdandi pe dikhte kuch pago ke nishan 

khushbu