Friday, June 22, 2012

Kya khoya aur kya paaya hai...

Zindagi ke falsafo me ulaza ye mera mann...
aaj sochne baitha , kya khoya aur kya paya hai

rango ki ek bouchaar paai hai...
aur ek purana sa kagaj paya hai...

ek tasveer zindagi ki meri banai hai...
ye teri hi chahat ka natija hai...

humne hara rang chuna tha zindagi ke liye 
aur lal rang tha mere pyar ka... 
thoda kala, wo andheri raat ka ,aur ek pila rang muskurate savere ka..

afsaana likhti gai, kahaniya banti gai..
rango ka uhi ek silsila bhi chalta raha... 
umedo ke kajag bhi bante rahe.. 

humne khoya kuch nahi .. paya hi paaya hai... 
hisab me shyad thode kacche hai wo log.. 
khushiya kam dikhi aur dukh jyada lage... 
dil ki aakho se, khule aasman me dekho toh jaanoge ... 
kya khoya aur kya paaya hai... 
Zindagi ke falsafo me ulaza ye mera mann...

4 comments:

  1. Thank U mona, its motivates me! I am glad u like it

    ReplyDelete
  2. Dosto ki yehi ada bhai hai,,,
    jab wo khudka likhe ko bhi bole ,
    kaha se tapai hai....
    mere dost, ye maine hi banai hai

    ReplyDelete